The juice of the lemon is citric acid, which gives lemons a sour taste. One medium-sized, whole lemon contains just 24 calories and no fat. It is also a great source citric acid, potassium, calcium, phosphorus and magnesium. It balances maintain the pH levels in the body. Lemon water is also thought to decrease the amount of mucus and phlegm produced in the body. The acidic nature of lemon combined with the innate properties of honey and water can help beat bad breath almost instantly.
LEMON KY FAIDY
Lemon ka talluq rus dar phalon (Citrus Fruits) kay khandan say hai jis mein thori si tezabi khasyat bhi hoti hai. Dunya bhar mein yeh phal baray paimanay par kasht kia jata hai.
lemon benefits in urdu
Tanon kay hisab say paida kiye janay walay rusdar phalon mein is ka tisra number hai. Iski tibbi khasoosyat kay pesh nazar kayi naslon say isay istemaal kia ja raha hai. Lemon mein vitamin C ki bohtaat hoti hai. Aur nizam e hazam ki sifayi mein yeh moassar kirdar ada karta hai. Zaroorat kay mutabiq lemon kay phal kay elawah is kay pattay bhi istemaal kiye jatay hain.
Khasusiyat
Lemon khoon saaf karta hai, jism say fasid maddon kay akhraj mein jismani salahiyat ko behtar karta hai, jildi masail maslan keel muhason , danon aur zakhmon kay ilaj mein mufeed hai, lemon mein vitamin C kay elawah vitamin B ki moqdar bhi ziadah hoti hai. Is mein tezabyat door karnay ki khobyan hoti hain. Jaraseem kash hai aur ghiza hazam karnay mein madad gar hoti hai.
Lemon ko khoon ka bahao roknay wala sab say taqatwar qudrati zariyah samjha jata hai. Agar jism par kahin zakham lag jaye ya cheel jaye to khoon ka rasao roknay kay liye isay istemaal kia ja skta hai. Nakseer photnay ki surat mein lemon kay arq kay chand qatray naak mein tapka kar khon ka akhraj roka ja skta hai.
Lemon mein jaraseem aur virus ka moqablah karnay ki bhi salahiyat hoti hai. Infection ko barhnay say roknay mein lemon ka kirdar tsleem shudah hai.
Masanay aur gurdon mein agar infection ho to lemon ki madad say is par qaaboo paya ja sakta hai.
Istamal
Lemon mein chun keh potassium ki moqdar ziadah hoti hai is liye yeh dil ko kaam karnay kay qabil rakhnay mein madad karta hai. Vo log jo dil kay masail mein giraftar hain in kay liye lemon aik mufeed tonic ka kaam karta hai.
Lemon ki khushboo qudarati tor par hshraat ul arz ki dushman hai is liye jahan lemon mojood hon wahan machar (mosquito) , makhiyan aur degar urnay walya kiray makoray qareeb nahi aatay.
Ghiza hazam karnay kay nizam ko sehat mand aur saaf rakhnay kay liye lemon ka tazah juice nehar munh agar din ka aaghaz lemon kay juice say kia jaye (thanday ya garam pani mein ) to yeh jigar kay liye tonic ka kaam karay ga.
Agar garam pani mein lemon ka rus nikal kar piya jaye to is say meday ki tezabyat khatam hogi. Bistar par janay say pehlay agar yeh mashroob pi lia jaye to paon ki aithan aur paon mein jhanjhanahut (Resless leg syndrome) ki shikayat rafa hogi.
Lemon say jism ka mudafati nizam mustehkam hota hai aur is kay istemaal nazlah zukam ki elamatein khatam karnay mein madad milti hai. Degar infection kay ilaj mein bhi yeh mufeed rehta hai.
Doran e khoon kay nizam ko towana rakhnay kay liye rozanah ki bunyad par ghizaon mein lemon ki qashein shamil karein.
Agar shehad ki makhi ya bhar dank maar day to is jagah lemon ka khasil arq lagayein.
Tazah lemon ka rozanah istemaal bawaseer, gurday ki pathri aur ragon kay bhoolnay ki bimari (Varicose veins) kay ilaj mein mufeed rehta hai.
Lemon ka juice agar zaitoon kay tail mein mila kar piya jaye to is say pittay ki pathriyan tehleel ho skti hain.
Chaalon (Cold Sores) kay ilaj ka liye begair pani milaye lemon kay khalis arq kay chund qutray mutasir jagah par lagayein. Yeh amal is waqt tak dohratay rahein jab tak keh chalay ghaib na ho jayein.
Zuban kay nichay aur munh mein nikalnay walay sufaid chalon kay ilaj mein bhi lemon juice kay qatray istemaal kiye ja sktay hain.
Massay aur gomray ko saaf karnay kay liye bhi lemon ka arq istemaal kia jata hai.
Warning: This site provides general information about your health. for more information and treatments please contact your doctor.
METHOD OF LEMON WATER
INGREDIENTS:
Lemons 4-5
Sugar 1 cup /to taste
Salt 1 tsp level / to taste
Black salt 1/2 tsp (optional)
Mint leaves few for garnishing
Lemon slices few for garnishing
METHOD:
Squeeze lemons to extract juice and then after removing seeds mix in water, add sugar a and salt also .
Stir till sugar dissolve .
Can add black rock salt also.
Serve chill with few mint leaves and lemon slices.
Enjoy this easy Lemonade recipe…:)
Thanks!
Comments
Post a Comment